aaj phir tum nazar nahi aiay

**
aaj phir tum nazar nahi aiay
phir tamanna k phool murjhaiay

                    aaj phir sogawar ankho.n nay
                    lal-o-gul pay ashk barsiay

                    aaj phir ehd-e-ghun k afsanay
                    meri baytabio.n nay duhriay

                    is bharay shehar main tumhara pata 
                    kis ko maloom kaun batliay

                    kin diyaro.n main kho giay ho tum
                    hum sitaron ki khaak chaan aiay**

Nice :teary3:

Re: aaj phir tum nazar nahi aiay

wow :k: