Aaj phir ek baar kisi apne .....

Aaj phir ek baar kisi apne ne pukara hai,

Nahi bhooli jinhe ab tak un lamho ka ishara hai,

Kabhi chooti jo raheN un rahoN ne bulaya hai,

Aaj phir ek baar uski yaado ne sataya hai

Kabhi basaya tha jisko apni saanso me meine,

Kabhi paya tha jisko dil ki har aahat me meine,

Aaj phir ek baar un ehsaasoN ne pukara hai,

Kabhi sahti thi jo mein, Aaj usse bhi ussi dard ne sataya hai

Par kya uska wah dil meri aawaz soon paya hai,???

Nahi samja jo kabhi mujhko kya wah yeh pyar samaj paya hai?

Jab badla sab kuch toh thehra nahi kyu wah waqt hai,

**Kii deir hui ab, meine sab paakar bhi sab khoya hai. **

Re: Aaj phir ek baar kisi apne …

:k: