Aaj phir
Aankh bhur aaiee hai
Jo youN beetay dinouN kee
yaad challi aaiee hai
Apni ik ik laghzishouN kee
kasak uThti hai dil maiN
Jinn kee mujhay
anjaanay maiN !
ho gaie thee aadat
teri unn aadatouN kee
ehsaas maiN mairay
aaj yeh baat samaaie hai
maiN nahiN jaantaa kay
maiN kaisay yeh baat
tumhaaray dil maiN
daal paaouN gaa
kay maiN nay
unn kaalay dinouN kay
har ik safhay ko
apni kitaab-e-zindagi say
phaaR daalaa hai
kay jinn dinouN maiN
mairaa raaz-e-Tanhaaiee hai
ab bhee hai yaad mujhay
apna woh ehd-e-wafa
kay jub!
kahaa tha maiN nai
teri judaaie par kay
maiN kuch na kahooN gaa
kuch naa poochooN gaa
teray louTnay par
aur maiN!
abb bhee yehi keh rahaa hooN
mujhay tau buss
uss waqt say khushi hai
kay jub say!
teray louT aanay kee
khabar aaiee hai
zindagi kee dauR maiN
thuk gayaa hooN maiN
sonaa chahataa hooN
ik pur sukoon neend
ik ab’di neend
gar yehi!
marham-e-shanaasaaiee hai?
ik aakhri khuahish
buss yeh
dil maiN ab samaaie hai
inn aakhri saaNsoun maiN
teri baahouN ka lateef paikar
shamil ho jaye
tau meri zindagi
maut say mil kar
kam az kam mutma’in ho jaye
kay ab
aisay wisaal say acchaa tau
mar hee jaana hai
kay jiss zindagi maiN
dukhouN kee roshnaaie hai
bud naseebi samajh kar apni
qabar maiN jee looN gaa
azaab-e-qabar samajh kar
zindagi kaa zeh’r pee looN gaa
maiN tau chahataa hoon bhulaanaa
har ik baat woh
kay jiss baat say
humm dono nay
choT ik dil par khaaie hai
aur maiN bhula bhee saktaa hooN
bulkay bhulaa bhee chukaa hooN
kay uss choT ka marham tau buss
teray wajood kee qurbat
aur teray lafzouN kee
meh’k aur ra’anaie hai
dil dhoondhta hai mairaa
wohi khush rang lafz teray
meray wajood kaa peechaa kartay
jal-tarang naghmay teray
aur agar yeh subb
nahiN qismat maiN tau
buss ik duaa hee hai meri
Rub say
kay meri zindagi maiN abb
maut kee shehnaaie hai
–Anwaar