*Duniya ke bharay bazaar mein
Dukh bhi bikhtay hain aur sukh bhi
Muhabbat bhi aur nafrat bhi
Mein ne bharay bazar se pyar ko chuna
Jis per mujhe rok kar kaha gaya ke
Aap ko khaali pyar nahe milega
Pyar ke sang aap ko
Aansoo
Dukh
Tanhai
Aahain
Dard
Aur
Bebasi
Yeh sab bhi diya jayega
Warna aap faqat pyar nahe le kar ja saktay
Mein bahut nadaan thaa
Mein ne pyar ke sath ye sab cheezain ley leen
Aaj mere paas sab kuch hai
Faqat ‘Pyar’ nahe …
*