aaj ki shab buhut taweel hai
aur mei
eik bay saro samaan musafir…
…
…
falaq pe bikhray ye sitaray
(jesay bikhray meray ye alfaaz)
sargoshiyoon mein mujh pe hanstay hain
aur nazar ke miltay hi
yoon chup saadh letay hain
ke goya
mera dard
wo apni roh mein mehsoos kertay hoon
…
…
aaj ki nazam bhi shayed…
kuch taweel hai
kionke…zakhm gahra
aur dard shadeed hai…
ankh hai nam meri
aur dil fareed hai
tum kionker jaan pao gay bhala
kesay mera… tarz-e-bayan
abhi talak nafees hai…
…
…
mein itna khud garz tu na tha kabhi
kion ab meray lab pe
jab kabhi lafz-e-faryaad ata hai
dil se dua go ke
teri rahatoon ki hoti hai per
ankh mei moti
meray dard ka hota hai
mein kionker bhala apnay dard aur…
teri asaishoon ko…
ainay ke do rukh tasleem kerta hoon?
…
…
mein kion teri khushi mein khush ho ker bhi
toot jata hoon
bikhar ke choor ho jata hoon?
aur bilakhir…ro deta hoon
…
…
mei…
itna kamzoor bhi na tha kabhi
ab sans lena bhi dushwar hai
itna zor-e-ahsaas bhi nahi
ke mein apni soch se lar sakoon
per meri soch bhi tu
tum hi hu
sirf tum…
…
…
mein bus
tumhain eik yaqee’n dilana chahta hoon
merey hont jo
akhri siski per laraz uthain gay
merey laboon ki us janbish ko
zara ghor se dekh sako tu dekhna
sun sako tu sunna…
wo akhri faryaad bhi …
nijaat-e-dard ki na hogi per
teri rahatoon ki dua hogi..
…
…
merey seenay mein sulagti akhri dharkan ke saath
tum phir kabhi …
apnay naam ki sada na sun pao gi
tumhara shikwa baja per…
zara jhuk ker meri bay jaan ikhyoon se
nazar mila ker tu dekhna
agar un ankhon mein ab bhi…
tum na basti hu tu phir kahna…
…
..
tum khush raho..
apni duniya mein magan raho
aur mei…
hmmm…
ab bhi merey hont laraz hi jatay hain
alfaaz bhikhar hi jatay hain
![]()