~~Aaj ke Baad~~

badalon kay siya ghoonghat mein
chand simta hua sa aaya hai
zindgii kay safar mein barson baad
waqt nay phir humien milaya hai

too bhi gum-sum hai aur mein bhi chup
jaisay khamoshiyon ka pehra ho
aansoun mein pighal rhay hain dil
zarb kaarii hai zakham gehra hai

yon hawa cheekhtii hai pairron mein
jaisay raqsaa’n khien balayien hain
aaj har shey mein ajnabiyet hai
kitni badlii hoii fizaaien hain

yeh haqeeqat hai khush-naseeb hon main
go tujhay phir say paa liya khho kar
haan! magar yeh bhi haqeeqat hai
too milli bhi to ghair kii ho kar

main bhi ab wo nahien jo pehlay tha
too bhi badlii hoii haqeeqat hai
is mulaqaat say bhii kya haasil
too kisi aur kii amanat hai

go nahien hosla judaii ka
ab yaqeenan yeh zehar pee loon ga
aaj tak haal e dil sunaya hai
aaj kay baad hont sii loon ga

shab kii in sa’aton mein jaan e aziz
aaj yeh ehad e aatsheen hoga
do dharaktay hoye dilon ka milaap
aaj kay baad phir nahien hoga

Re: ~~Aaj ke Baad~~

long but v nice Ali

too bhi gum-sum hai aur mein bhi chup
jaisay khamoshiyon ka pehra ho
aansoun mein pighal rhay hain dil
zarb kaarii hai zakham gehra hai

yon hawa cheekhtii hai pairron mein
jaisay raqsaa'n khien balayien hain
aaj har shey mein ajnabiyet hai
kitni badlii hoii fizaaien hain

Re: ~~Aaj ke Baad~~

thanks :)

Re: Aaj ke Baad

hmmmm Ali ap janay pehchanay lagtey ho :hoonh: intro do jaldi se :hoonh:

Re: Aaj ke Baad

:konfused: jaan pehchan kaisi

kahan milay thay hum :hmmm:

Re: ~~Aaj ke Baad~~

hmmm badam kha k yaad karaN :D
milay tu hum kahiN nahi per pa kahaN se ho

Re: ~~Aaj ke Baad~~

[quote="Koyal"]

long but v nice Ali

barsoon k kissay taweel tau hotay na g:)

nazam main wohee rawaatee kushmakush hay, malaal-bhara wasul aur aik kamzoor irada bhoolnay ka.

zindgii kay safar mein barson baad
waqt nay phir humien milaya hai

aaj yeh ehad e aatsheen hoga
do dharaktay hoye dilon ka milaap
aaj kay baad phir nahien hoga

dil-chusp haqeeqat ye hay k waqt milata hay aur minay waalay iraada kartay aur tortay rah jaatay
PS: only sharing my thoughts/observations

Re: ~~Aaj ke Baad~~

aaj kal ke badaamon main bhi asar nahin hai

kuch nahin yaad ane wala :D

Re: Aaj ke Baad

a jaiey gha pista khaao aur jaldi batao ap :hoonh:

Re: Aaj ke Baad

aap kahin hakeem shakeem to nahin

ilaaj pe ilaaj bata rahin hain :smiley:

Neem hakeem khatra-e-jaan

Re: Aaj ke Baad

ye ilaaj nahi hai :hoonh:

aur ap taltey ja rahya…kahin ap diplomat tu nahi haiN :snooty:

Re: Aaj ke Baad

:smokin2: