ThooRi dair pehlay (around 11:30) , main nay apnay baitay say kaha “Buhat dair ho gai hay - I know kal tumhain school nahi jana laikin chotay bachhay itni dair tak nay jaaGtay - chaloo shabash soonay laitoo”
Chootay sahib - Buhat hairat zada ho jatay hain (full drama) , hairat say wall clock koo daikhtay hain “Ohoo papa - its 11:30 - itni dair ho gai aaj” Phirr apnay aap say farmatay hain “Chaloo bhi Mohsin , jaldi jaldi CID daikho aur soonay laitoo - aaj tu buhat dair ho gai hay”
CID unn ka fav. program hay, on Sony TV.
LOL - main nay unn ka kaan paKraa aur bed pay lay jaa kar litaa diyaa
Amitabh style “Baitaa hum tumharay abba hain hamaray saath drama mat karo”
Masha Allah - agar taraqqi ki yehi raftar rahi tu pata nahi kal kya hoga
Allah mairay haal pay rehm karay.
:bash: uss beychaarey ka kaan kyon pakra aapney…pehley to usko chutte main jaldi sulaa rahey thein…uper sey uska kaan bhi pakra:nono3: bachon sey aisa naheen kartain…now tomorrow when he wakes up give him chocolates…
where was bhabhi then …unhon nein aapkee khichaiee naheen kee:bailan:
& ofcourse baita drama to kareyga he…jab uskey abba jan drama(amitabh style) karteiy hain to :whistling
agree ajj kal k bechay hum say bhi 2/4 balkay 6/8 haath aagay hain..........kuch arsa pehlay cousin k baitay nay suna k us k mama mujhay keh rehi hain "tumhain kub aqal ay gy"....4 yrs ka hay last time kisi bata per bola "thala mama theek kehti hain app ko tub(kub) atal (aqal) ay gy main to bayhosh hotay hotay bechi