Aaj ka mera topic hai...Parrh kar Parrhiyey

Zabaan pe Barkhudaya yeh kissey ka nam aya. ULLU humarey moashrey main bohat maqbool hai. AAP Aiyey din sunthey hain kay falan ne falan ko ULLU banaya. Ya falan shakhs ULLU ban gaya. Kabhi yeh na sunnein gay kay kissey ne kissey ko kabuutar,thotha, banaya ho.
ULLU ko loag zaahid-o-martaz khayal kartey hain,iss liyey kay darakhth ke tehni par ya kissey kkhoh main ankh bandh kiyey betha rehtha hey,koi chhota mota janwar kareeb aaey tho moo kkhol kar ussey harrap karletha hai,ankhein aisey he bandh rehthi hain.Haumarey yhaan bhi koi shakhs dunia kai masaail say aankkh bandh kiyey betha rahey aur apnay khordh-o-nosh say ghafil na ho tho bari izzat paata hay.Naik gina jaatha hay.
hamaray yahan ULLU jo hai “dumb” ke maainoun main aatha hai.Jabkay Maghribi Adab main yeh Hikmat-o-Danish key misaal hai.Ham iss baab main apni raaey mehfooz rakkhthay hain.Ithna jaanthey hain kay samajjhdar aur danish-mandh aur danishwar loag aksar bhookay marthey dhekkhay guay hain.Koiey ULLU kabbhi bhooka nahin martha.

too many ulluz :mudhosh:

yeh urdu kahan ki hai???
:confused:
kuch nahi samajh aya :bummer:

^ Agreed

:sleep: :sleep: :sleep: