aaj jaane ki zid naa karo

*aaj jaane ki zid na karo
yoon hi pehloo main baithe raho
haaye! mar jaayenge, ham to lut jaayenge
aisi baaten kiyaa na karo

tum hi socho zaraa kyoon na roke tumhen
jaan jaati hai jab uthake jaate ho tum
tum ko apni kasam jaan-e-jaan
baat itni meri maan lo

waqt ki qaid main zindagi hai magar
chand ghadiyaan yahi hain jo aazaad hai
inko kho kar abhi jaan-e-jaan
umr bhar na taraste raho

kitnaa maasoom-o-rangeen hai ye samaa
husn aur ishq ki aaj meraaj hai
kal ki kisko khabar jaane-jaan
rok lo aaj ki raat ko

gesuuon ki shikan hai abhi shabnami
aur palkon ke saaye bhi madahosh hain
husn-e-masoom ko jaane-jaan
bekhudi main na rusvaa karo
*
++++++++++++
‘Faiyaz Hashmi’
++++++++++++
One of my favourites. Some famous singer has sung this ghazal…can’t recall the name.