**
Aaj halki halki Baarish hai
Aaj sard Hawa ka raqs b hai.
Aaj Phool b nikhre nikhre hain
Aaj unn mein tumhara Aks b hai
Aaj Badal kaalay gehray hain
Aaj Chaand pe lakhon pehray hain
Kuch tukray tumhari Yaadon k
bari dair say dil mein thehray hain
Aaj Yaadain uljhi uljhi hain
Aaj taar yeh dil k Suljhay hain
Aaj Yaad boht tum aaye ho
Aaj Yaad boht tum aaye ho
**