Aaj esa karty hain
Be sada lafzon mein
wajh e zindge kah k
Vasl ke zarorat par
phir sy zor dety hain
Aaj esa karty hain,
zikar vohe karty hain…
Naam aur dety hain…
Zabt k kinaron sy dard aan lapta ha…
Toot-tey kinary ab dard aur dety hain…
Aaj esa karty hain,
Dard sy uljhaty hain…
Zabt chor dety hain…
Taar taar daman ko
khaar khaar raston mein…
Ranjishein bhula kr hum
aa k jor dety hain…
Aaj esa karty hain,
Khud nhe palat-ty hain,
Raah ko morr dety hain…
Sabz sabz mosam mein
Laal laal ankhon ke khawab ke ragon sy hum…
Khoon nichor dety hain…
Aaj esa karty hain…
Yeh bhe kar guzarty hain…
Khawab toor dety hain,
Aa kah ab duaon ko
matmi ridaon mein,
Phir sy kar k alvida,
Moqa aur dety hain…
Aaj esa karty hain…
Darya mein utarty hain
ALLAH pe chor dety hain
Re: aaj esa kartay haen
Nice.
Lagta hai aaj boht se kaam karne.
chalo aaj aisa karte hain
half day lete hain
aur kaam sare karte hain ![]()
Re: aaj esa kartay haen
teerna aata hi diya
darya mi uterte hein:grumpy:
Re: aaj esa kartay haen
nahi ata ![]()
Re: aaj esa kartay haen
to phir darya me kion uterne k salah mashvare ho rahe hein:D