Aaj Ek dost ne kaha tu shadi kis se karega ?
Maine kaha main shadi shuda hon ..
Kehne laga kon hai tera jeevan sathi ?
Maine kaha yadein hain kisi ki ..
Kehne laga kis ne parhaya tha nikah?
Maine kaha mustaqbil k khawabon ne ..
Wo bola kaisi guzar rhi hai zindagi ?
Main bolne hi wala tha k ankhon se aansu chalak pare ..
Wo bola use chor q nahi deta ?
Maine kaha haq-mehar mein apni zindagi likhi hui hai
Re: aaj ek dost
I heard many people saying ’ humne apne profession se shadi karli hai’, per yahan to mamla hi kuch aur hai ![]()
Re: aaj ek dost
Haye haye ..ab yeh perhnay ko bhi reh gaya thaa .... :D
Re: aaj ek dost
Haye haye ..ab yeh perhnay ko bhi reh gaya thaa .... :D
Shairi ne ek nai karwat le li hai :D
Re: aaj ek dost
:hinna: