Aaj Dil Pe Koi zor

Aaj dil pe koi zor chalta nahee
Muskurane lage thay magar ro paray
Roz hi ki tarah aaj bhi dard thaa
Hum chupane lagay magar ro paray
Aur ab kya kahain kya huwa hai humein
Tum tu ho bekhabar hum bhi anjaan hain
Bas yehi jaan lo tu bahut hoga
Hum bhi rakhtay hain dil hum bhi insaan hain
Muskuratay huwe hum bahaana koi
Phir banaane lagay thay magar ro paray
Hain sitaray kahaan itne akaash per
Har ek ko agar sitara milay
Kashteyoon ke leye yeh bhanwar bhi tu hain
Kya zaroori hai har ek ko kinaara milay
Bas yehi soch kar hum barhay chain se
Doob jaanay lagay thay magar ro paray
Umer bhar kaash hum yunhi rotay rahain
Aaj humein kyonke yeh huwi hai khabar
Muskurahat ki tu koi qeemat nahee
Aanso’oun se huwi hai hamaari qadar
Baadaloon ki tarah hum tu barsay bina
Laut jaanay lagay thay magar ro paray…

zabardassstttttttttt…:k:

bohut khoob:k:

boht khobusrat :k:

Thanks for sharing … :k:

Thanx All :)

hmmmmmm…nice :nahnah:

too good ummehanie jee maza aa gya :k: