Yeh duniya qehqahoon (smile) ko isliye sun leti hai ke woh ounchi awaaz mein lagaye jate hain… Aah… magar aansou’on ko isliye mehsoos nahee kar sakti kyo ke woh chup chaap bahaaye jate hain… Aansou’on ki hiddat se muskuraahat tu jaag uth’tee hai lekin is muskurahat ke peeche chupe huwe dard ko koi mehsoos nahee kar sakta… In qehqahoon mein pinhaan (hidden) dard ko koi nahee jaan sakta.. Kash koi jaan sakta ke zara si muskuraahat ke leye insaan ander se kis qadar toot phoot jaata hai… Woh muskuraahat kitni muqaddas hoti hai..*
**
Jab kisi ki yaad aane per dil tu rota hai
Lekin hont phir bhi muskura dete hain…**
Yaadoon se rishta kal bhi thaa yaadoon se rishta aaj bhi hai
Dil kal bhi apna dukhta thaa aur afsurdaa sa aaj bhi hai
Woh ishq jo hum tum karte thay woh ishq tu zinda ab bhi hai
Kal tak jo hijar sataata thaa us hijar ka pehra aaj bhi hai
Tum door huwe majboori mein hum toot gaye is doori mein
Kabhi wakt mile tu aajaana dil ka darwaaza khula aaj bhi hai
Woh saahil woh geeli mitti, mitti ke gharonde saahil per
Woh naam darakhtoon per likhna woh khwaab suhaana aaj bhi hai
Tum khush rehna dil ki duniya apni tu chalo barbaad huwi
Dil gham ka maara kal bhi thaa aur gham ka maara aaj bhi hai
Yeh ashk nahee hain aankhoon mein yeh taaray jhilmil karte hain
In aankhoon mein j kal tak thaa woh chaand sa chehra aaj bhi hai
Ab shikwa kisi se kya karna taqdeer mein jo likha thaa mila
Gham kal bhi mera sarmaaya thaa gham mera warsa aaj bhi hai...
WELL THANKS A LOT .MAIN NAY YE KISSI SITE PER HI PARHI THI ISSLIYE NAHI JAANTI KE KONSI WALI SAHI HAI OR KIS POET KI HAI.
LAKIN KUCH BHI HO HAI BOHUT ACHHI…