Aaj bazar mein pabajolan chaloo

Chasm-i-nam jaan-i-shooreeda kafi naheen
Tahmut-i-ishq poosheda kafi naheen
Aaj bazar mein pabajolaan chaloo !!!

Dast-o-afshaan chaloo
Mast-o-raqsaan chaloo
Khak ber ser chaloo
khoon badaman chaloo
Rah takta ha sab sheher-i-janaan chaloo
Aaj bazar mein pabajolan chaloo !!!

Hakim-i-sheher bhi
Mujma-i-aam bhi
Teer-i-ilzam bhi
Sang-i-dushnam bhi
Subah-i-Nashaad bhi
Roz-i-naqaam bhi

Aaj bazar mein pabajolan chaloo !!!

Unka damsaz apney siwa koun ha
Sheher-i-janaan mein ab basifa koun ha
Dast-i-katil key shayaan raha koun ha
Rakht-i-dil baand lo dil figaroo chaloo
Phir humein qatal ho ayeen yaroo chaloo

Aaj bazar mein pabajolan chaloo !!!
Aaj bazar mein pabajolan chaloo !!!

Faiz

Aaj bazar mein pabajolaan chaloo !!!

bohut khoob ... achay dinu main Barish bohut acha gun laiti thein ... pabajolaan ......... say yaad aya aadhoori jee kaisi hain??

achi awaz ka zikhar howa hay to Shaira jee ka zikre khair bhi kartay chalain .. Bohut munfarid awaz .... aisay jaisay sitar kay taar kisi nay chair diay hon .... hummmm forget it ........ hum bhi kia zikar lay kar baitt gay .........

(k)itnay door agay bhattaktay howay
janay kia hogia sitaron ko !!!!!!!!!!

yaar Azad your comments are too vague for a person of my intelectual ability to comprehend
:(

bahut khoob Gb u know isko parh kar aik bachpaan ka dost yaad agaya he luvs that ghazal and he always willing to listen !!

yeh un bhalay dinu ki baat hay jab Gupshup par voice chat howa karti thi, Baarish/Barish a gupie bohut acha gaati hain, mashallah

Aaj bazar mein pabajolaan chaloo !!!

ki posting say un ki awaz main sunna yaad agya tha. Baarish jee ki awaz achi hay ... achi awaz kay hawalay say Shaira (another Gupie) jee ki awaz ka bhi zikhar howa , ronaq rehti thi Azkar jee, Chanmahi, Boss, Roman, Farwa, Muzna jee, , ,, , , ...... (is it simple enough? ... khair humain kabhi apni samajh nahi lagi to kisi our ko kia lagay gi)

ok i got it now :)
thanks for liking it azad n lamhayjee