Aaj Bazar Mein, Nayyara Noor
( Faiz Ahmed Faiz )
Aaj Bazar Mein pabejolan chalo
Chasham-e-Nam, Jan-e-shorida kafi nahin
tuhmat-e-ishaq poshida kafi nahin
aaj bazar mein pabejolan chalo
dast afshan chalo, mast o raksan chalo
khak barsar chalo, khoon badaman chalo
rah takta hay sub sher-e-jana chalo
hakim-e-sher bhi, majma-e-aam bhi
teer-e-ilzam bhi, sung-e-dushnam bhi
subh-e-nashad bhi, roz-nakaM bhi
pabejolan chalo, pabejolan chalo
in ka dam saz apnay siwa kon hay
sher-e-jana main aab ba sifa kon hay
dast-e-qatil kay shayan raha kon hay
rakht-e-dil bandh lo dil figaro chalo
phir hameen qatl ho aayin yaro chalo
Aaj Bazar Mein pabejolan chalo
Aaj Bazar Mein pabejolan chalo
pabejolan chalo.. aaj bazaar mein
beautiful, indeed.
Dushwari ![]()