aaj bas dil ki suno

aaj chahe hawaayein jis orr bahein
aaj yeh raaste chaahe jis orr chalein
aaj yeh duniyaa tumse jo chaahe kahe
aaj bas apne dil ko chuno
aaj bas dil ki suno

aankhon ke darwaaze, khwaab ko aane do
dhadkan mein dhun hai jo, aaj use gaane do
aaj ghum bhool ke hothon ko muskuraane do
khuli aakhon se koi khwaab buno
aaj bas dil ki suno

aaj jo dil kahe, zubaan ko kehne do
aaj sab kasmo ko khaamosh rehne do
ashq bhi behna chaahein to inhein behne do
aaj kuchh aur na socho
aaj bas dil ki suno

Wat abt Jo hamesha hi dil ki Suntay hiaN :smiley:

Nice one :flower1:

thnx GS

yeh unke liye hai jo dil ki nahi sunte....

wah reet G

likan hum dil ki suntay hain