Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kay
Wasl ki zaroorat par
Phir say zor dete hain
Aaj aisa kertay hain
Zikr wohi kertay hain
Naam aur dete hain
Zabt ke kinaaron say
Dard aan lipta hai
Toot’tay kinaaray ab
Dard aur dete hain
Aaj aisa kertay hain
Dard say ulajhtay hain
Zabt chor dete hain
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishain bhula kay ham
Aa kay jor dete hain
Aaj aisa kertay hain
Khud nahin palat’tay hain
Raah mor dete hain
Sabz sabz maosam main
Laal laal aankhon kay
Khwaab ki ragon se ham
Khoon nichor dete hain
Aaj aisa kertay hain
Ye bhi kar guzartay hain
Khwaab tor dete hain
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar kay alwidaa
Mauqa aur dete hain
Aaj aisa kertay hain
Darya main utartay hain
Rab pe chor dete hain…
Re: Aaj aisa kertay hain
Cool :k:
Re: Aaj aisa kertay hain
Thanks :)