Aaj aisa karty hain.
Be sadda lafzon main
Wajh-e-zindagi keh ke
Wasl ki zaroorat par
Phir se zoor detay hain
Aaj aisa kerty hain
Zikar wohi karty hein
Naam aur detay hian
Zabt ke kinaroo se
Dard aan lipta hay
Toot-ty kinary ab
Dard or daity hian.
Aaj aisa karty hian
Dard say uljhtay hain,
Zabt choor daity hain..
Taar tar daman ko
Khaar khaar rahoo main
Ranjishein Bhula ke hum
Aa ke joor daity hain
Aaj aisa karty hian.
Khud nehi palty hian.
Raah mor daitay hain.
Sabz sabz mausam main
Laal lal aankho ke
Khawab ki ragoon se hum
Khoon nichoor detay hain
Aaj aisa karty hain.
Youn bhi kar guzartay hain
Khawab toor daity hian.
Aa keh ab duaaon ko
Maatmi ridaaon main
Phr se kar k aliwada
Mauqa aur daity hain
Aaj aisa karty hain
Daray main utraty hain
RaBB pe chord daity hian.