Aik tasawar ki gerft main hum rehtay hain, our janay kab tak azeeyat e safar main rahain gay, Woh lamha jis nay humain .. hum say chura liya .. janay woh kaisa lamha tha, na hum rahay na dil raha na dil ka qaraar, Janay kia dhondh rahay hain … kehnay ko to Dhondh rahay hain hum chehra tera …
Aaj aik khwaab daikha
Mehv e safar kud ko, vast e sehra daikha
Her tarf rayt kay bhagolay thay
Sadiyon ki piyaass ka ghubaar daikha
Be-Jaan qadmooN tal’lay phesaltee rayt
Pehna badan nay rayt ka libaass daikha
Shikasta wajood kay bojh say …
Machaltii rayt ka o’baal daikha
Raqss kartay howay zarooN ka paar
Chehra e khwaab be-neqaab daikha
[QUOTE]
*Originally posted by Dilsay: *
Very beautiful after a long time nice to see something from you and i am sure lots of ppls will be happy like me
[QUOTE]
*Originally posted by Azad: *
Aaj aik khwaab daikha
Mehv e safar kud ko, vast e sehra daikha
Her tarf rayt kay bhagolay thay
Sadiyon ki piyaass ka ghubaar daikha
Be-Jaan qadmooN tal'lay phesaltee rayt
Pehna badan nay rayt ka libaass daikha
Shikasta wajood kay bojh say ....
Machaltii rayt ka o'baal daikha
Raqss kartay howay zarooN ka paar
Chehra e khwaab be-neqaab daikha