guftaguu ke lamhon mein
dekh hi nehi paatey
hum tumhare chehre ko
tum hamari aankhon ko
aaj aesa karte hein
chashm-o-lub ko parhte hein
baat chhor dete hein
**
jaane kya lamhaa hoga
jab ye haath haathon se
gar kabhi judaa hoga
aaj aesa kartay hein
zabt-e-jaan parakhtay hein
haath chhor dete hein
**
kaash koi samjha de
loag kis trah dil ki
manzilein alag ker ke
saath chorr dete hein
aaj aesa kartay hein
be-sabab bikhertay hein
zaat torr dete hein
~~~
**
**