Aain~a bun ker kabhee in ko bhee hayran dehkeeye~
Apnay gham ko in ki surat say numayian dehkeeye~
Is diyar-e chasha-o lub mai dil ki yeh tanhaiyan
In bharay shaheroun mai bhee sham-e ghariban dehkeeye~
Umer guzree dil kai bujhnay ka tamasha ker chukay
Kis nazar say baam o dar ka yeh Chiraghan dehkeeye~
Dehkeeye~ abb kai baras kia gul khilatee hai bahar
Kitnee shidat say mehakta hai gulistan dehkeeye~
Aay Muneer is anjuman mai chashm laila ka khiyal
Sardiyon ki barishoun mai barq larzan dehkeeye~