Aaina-e-ghazal..

Tera ishq hai mujh pe meherbaaN mere dil ko haasil hai do jahaaN
meri zindagii-e-jaan issi baat par meri jaan jaaye to baat hai..

Mere waaste tere naam par koii harf aye nahiN nahiN
mujhe khauf-e-dunya nahiN magar mere ruu-ba-ruu teri zaat hai..

Tera vasl aye mere rehnoma nahiN meri kismat to kya hua
mere humnasheeN yahii kam hai kya teri hasratooN ka to saath hai..

Tera hijrr mera naseeb hai tera ghum hii meri hayaat hai
mujhe teri doori ka ghum ho kyoN tuu kaheeN bhi ho mere saath hai..!!

Re: Aaina-e-ghazal..

Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah Wah :mudhosh:

Re: Aaina-e-ghazal..

Nice one Nayab Sister

Re: Aaina-e-ghazal..

Aik “wah” hi kafhi ta:nahnah:

Re: Aaina-e-ghazal..

Thanks Bhai:)

Re: Aaina-e-ghazal..

One of my favourites... Wonderful piece of poetry by Nida Fazli... Thank you for sharing Nayab :-)

Re: Aaina-e-ghazal..

:blush: U welcome Sis

Re: Aaina-e-ghazal..

Ibratt ka ishaara hai kii taubaa hai zaroori
rehmatt ka ishaara hai kii phir koi khatta ho..!!

Re: Aaina-e-ghazal..

:rolleyes:

Re: Aaina-e-ghazal..

teri umeed tera intizaar jab say hay
na shub ko din say shikaayut, na din ko shub say hay

kissi ka durd ho kurtay hain teray naam ruqqum
gilla uggur hua kissi say to teray sabub say hay

hua hay jab say dil-na saboor bay qaaboo
kulaam tujh say nazar ko buhay adab say hay

uggur shurrur hay to bhurkay uggur phool hay to khillay
tarah tarah ki tuvakko teray rung-o-lub say hay

Re: Aaina-e-ghazal..

OHhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhhh…!!!

Re: Aaina-e-ghazal..

Wah bohot khoob:)

Kisi ki yaad me aesa bhi haal kya karna,
Ke jo mila nehi uss ka malal kya karna,

Ab aesa kya hoa tum jaan haar bethe ho,
Zara se hijar pe khud ko nidhaal kya karna,

Use bhulana bari baat to nehi phir bhi,
Use bhulane ka koi kamal kya karna,

Ye zindagi to fakat roog bann gyi he
Dil-e-tabah ka har pal khiaal kya karna…

Re: Aaina-e-ghazal..

Bohat khoob** Nayab** & harf-e-junoon…:k:

Re: Aaina-e-ghazal..

Thanks AryaaN jee:)

Re: Aaina-e-ghazal..

:rolleyes:

Re: Aaina-e-ghazal..

Very Nice Nayab:flower1:

CHULBUL… Samajh bhi ayi hay ya.. bas.. aisay hi Wah Wah kar rahi ho… :rolleyes:

Re: Aaina-e-ghazal..

bohat khoob :k: :k:

Re: Aaina-e-ghazal..

Thanks GS and Shoaib Jee:)

Re: Aaina-e-ghazal..

aaj phir durd o ghum kay dhaagay main
hum piro kur teray khiaal kay phool

turk-e-ulfat kay dasht say chun kur
aashnaai kay mah o saal kay phool

teri dehleez pur suja aaey
phir teri yaad pur churhaa aaey

baandh kur aarzo kay pullay main
hijr ki raakh aur wisaal kay phool

Re: Aaina-e-ghazal..

^ Nice one HJ :k: