Aai dost dua aur masafat ko baham rakh
yeh meri hatheli hai yahan pehla qadam rakh
Aisai to zamana mujai jinai nahin dai ga
mein kuch bhi nahin tera magar mera barham rakh
is bat pai duniya sai meri banti nahin hai
kahti hai talwar utha aur qalam rakh
mein jab bhi kaheen rah mein ghirnai laga tabish
Awaz si aie merai qadmoon pai qadam rakh
By: Abbas Tabish