AaheN na bhariN.....

AaheN na bhariN shikave na kie
kuchh bhi na zabaaN se kaam liya
is dil ko pakaD kar baiTh gae
haathoN se kalejaa thaam liya

Poochhaa jo kisi ne haal to ham
kuchh kah na sake kuchh kah bhi gae
roke to bahut aaNsu lekin
kuchh ruk bhi gae kuchh bah bhi gae
afsaana kahaa aur lab na hile
ashkoN se zabaaN kaa kaam liyaa
AaheN na bhariN......

Rone se bhala kyaa dil rukata
duniya ko tadap kar taDapaata
sach poochhiye ye to khair hui
mahafil meiN tamaashaa ban jaata
kuchh aap adaaeN rok gae
kuchh zabt se ham ne kaam liya
AaheN na bhariN.....

Go laakh tumhaare zulm sahe
par aaNkh se aaNsu bah na saka
bimaar-emohabbat ai Naqshab
kuchh aur to muNh se kah na sakaa
ik lambi si ThaNDi saaNs bhari
chupake se kisi kaa naam liyaa
AaheN na bhariN.....

Very nice kamal..:k: