Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

ik pal ko sakoot toot gaya dil ki qabar ka

aaNkhoN ka sehan bheeg gaya yaadoN ki nami sey
kuch bhi to sila nahi mila ashqoN pe jabar ka

jo lamha alvida ka tha O jaaney waaley meiN ney
tab sey hisaab chorr diya hey shaam-o-sehar ka

udaasiyoN ke gard meiN liptey huwey heiN log
wo maahol badal ke chala gaya saarey shehar ka

mosam kabhi giraaN tha to rastey kabhi katthan
har morr hum pe bhaari tha zindagi ke safar ka

har khaahish doob jaati hey samandar meiN yaas ke
shaed is leeye ke meiN musaafir hooN bhaNwar ka

beittheiN heiN is aas pe bhar jaey ga kabhi zakhm
ik waqt hi shaaed taryaaq hey yaadoN ke zehar ka

taqdeer ke haatoN meiN hey miqdaar phaloN ki
bahaar sey koi rabt nahi khuwahish ke shajar ka

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

udaasiyoN ke gard meiN liptey huwey heiN log
wo maahol badal ke chala gaya saarey shehar ka

mosam kabhi giraaN tha to rastey kabhi katthan
har morr hum pe bhaari tha zindagi ke safar ka

bohat khooob i like these 2 shers :k:

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

^^ thx

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

:k:

^^ thx nikami moti :p

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

nice

Buhat achchay :~)

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

thx again

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

very very nice :k:

ps
you avtar make me sssss… ahem ahem :wink:

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

n ur Avatar make me :frowning:

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

good one!

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

Thanx SunnyBoy :):k:

Re: Aahat thi kisi khuaab ki ya dhoka tha nazar ka

Thx Amal and moonmine