***Aahat pay uski chounk sa jata hoon
Na chahate hue bhi usko bhool jana chahata hoon
Najane kiun uski yadon main gum ho jata hoon
main uski yadoon se bhi nikal jana chahata hoon
Main ne uski muhabbat ka khaya hai dhoka
Ab main muhabbat k is dhoke se nikal jana chahata hoon
Wo jo chehray pay dale baithe hain parda masoomyat ka
Un k chahray se wo parda uthana chahata hoon
Husan parasti ne kia hai hum ko barbad
Husan parstoon ko yah baat samjhana chahata hoon
Yeh aag hai is say mat khelo jal jao gay
magar main wo parwana hoon jo jal jana chahata hoon
Zindagi ne jis tarhan jhanjora hai mari zindagi ko
Main ab us zindagi se nikal jana chahata hoon
Or jab kabhi hota hoon main tanha
To dil khool kar rona chahata hoon
Piyar muhabbat koun karta hai yahan har kissi ko
Main yeh pegham aam karna chata hoon.***
**Kuch Bewafa Logon K Naam. **