Aah !!!

Aah… !
Aaj shayad in aansoo’oon pe kaabu na reh saka !
Aap sab ki nazar yeh khoobsurat kalaam jo pehlay bhi mein post kar chuka hoon, ek baar phir… !

Shayad issay parh kar aap ki aankhoon se bhi beikhteyaar aansoo chalak parain !

Jis din se juda woh hum se huwe
Is dil ne dharakna chor diya

Hai chaand ka munh utra utra
Taaroon ne chamakna chor diya

Woh paas hamaaray rehtay thay
Be-rut bhi bahaar aajaati thee
Ab laakh bahaarain aayein tu kya
Pholoon ne mehakna chor diya

Hamraah koi saathi bhi nahee
Ab yaad koi baaki bhi nahee
Ab phool khilain zakhmoon ke kya
Aankhoon ne barasna chor diya

Hum ne yeh dua jab bhi maangi
Taqdeer badal de Ay Maalik !
Awaaz aaee ke ab hum ne
Taqdeer badalna chor diya

:teary3::teary1::teary2:

Kiya baat hai

Punkaj Shab nay gayee behi achee hai.....

very nice n touchy :k:

very nice:k::k:
keep smiling:)

wah ji wah kitni dukh bhari shyri hai:k:

:slight_smile: :k:

Arif bhaiiiiiiii itnay udaas kyoon hain???:teary3:

plz chup ho jayein na… :frowning:

Re: Aah !!!

veryyyyyyyyy beautiful :k: :k: :k: :k:

lakin aap udaAS tu na hoon na.. :frowning: