Daam-e-har mauj maiN hai halqa-e-sad kaam-e-nehang
DekhaiN kya guzray hai qatray peh gauhar honay tak
daam = net(jaal), mouj = wave(lehr), nahng = crocodile(magar-mach), gohar = pearl(moti)
easy explanation yeh hai kay samandar ki har mouj aik jaal hai aur iss jaal kaa har halqa goya magar-mach kaa halaq hai, aik qatray ko gohar bannay kay liye be-shumaar khatarnaak maraahil say guzarna paRta hai aur koi baRa khush naseeb qatra hi hota hai jo inn maraahil say bach kar sachcha moti ban jaata hai, yaani insaan ko darjaa-e-kamal tak puhanchaney main sakht mushkilaat kaa saamna karna paRta hai. Matlab: dushwaari-e-tarbiat-e-nafs.