din raat maah-o-saal se aagay nahi gaey
hum to tere khayaal se aagay nahi gaey
logon ne roz hi naya maanga Khuda se kuch
ek hum tere sawaal se aagay nahi gaey
humko jahan ki raa’naaiyon ki kya khabar
hum tere khadd-o-khaal se aagay nahi gaey
logon ne khubsoorti har shay ko keh dia
or hum teri misaal se aagay nahi gaey
tanhaee meri dekh k dunya k ranj-o-gham
is sehn-e-khasta-haal se aagay nahi gaey
SJ
2
Re: Aagay Nahi Gaey
logon ne roz hi naya maanga Khuda se kuch
ek hum tere sawaal se aagay nahi gaey
wah bohat khoob :)
IS
4
Re: Aagay Nahi Gaey
[QUOTE]
logon ne roz hi naya maanga Khuda se kuch
ek hum tere sawaal se aagay nahi gaey
[/QUOTE]
[QUOTE]
logon ne khubsoorti har shay ko keh dia
or hum teri misaal se aagay nahi gaey
[/QUOTE]
Very Nice :-)
Re: Aagay Nahi Gaey
zabardast aabla_pa ji...as always!!