aag k saye main

aag kay saaye mien jaltay hoye chalna
koi pas say guzray tu dartay hoye takna
kitna mushkil hay sir dhaanp k chalna
qatal bhi karna maqtool bhi banna
kesi k bulanay ki tamana rakhna
phir choor kar janay ka hosla rakhna
kitna mushkil hay khud ko jalaana
raakh na ho kar raakh main badalna
samnay ki baat ko ankhon main chuppana
aur phir kesi say nazrain na milana
kitna mushkil hay rastoon say guzar kar
kanton ko hata kar khud ko chalanaa
kesi ki yaad ko dil main basa kar
ussi ki nazroon say bachtay hoye chalna
kitna mushkil hay beeti yadoon
ko bhulana khwaboon ko jagaana
tanhai main yaad ka dareecha jo khula
tu kai diya ankhoon main jalay
kitna mushkil hay deewaroon ko
girrana phir gira kar banana
“sahil” ye sukh tujhay abb bhi raas
na aien gay phir say kuch tootay ga
buhat mushkil hay kahani ko kehtay
hoye hasna aur hastay hoye roona

Re: aag k saye main

kesi k bulanay ki tamana rakhna
phir choor kar janay ka hosla rakhna
kitna mushkil hay khud ko jalaana
raakh na ho kar raakh main badalna


Bohat shaandaar Ts Jee :slight_smile: mAza Aa gaya :k:
**khush rahiye Amin !

**

Re: aag k saye main

bhut alaa

Re: aag k saye main

Zabardest like always.

Re: aag k saye main

thanks thanks and thanks aaaaaaaaaaaaaaalll