"Aaey To"

**Arz kiya hay !!

Dair lagi aanay main tum ko shukar hay phir bhi aaey to
Aas nay dil ka saath na chorra,waisay hum ghabraey to

Shafaq,dhanak,mahtaab,ghatain,taaray,naghmay,bijli,phool
Us daaman main kiya kiya kuch hay,woh daaman haath main aaey to

Chaahat kay badlay main hum baich dee apnee marzi tak
Koi milay to DIL ka gahk,Koi humain apnaey to(gahk means khareedar)

Kiyun yeh meher angaiz tabasum mad e nazar jab kuch bhi naheen
Haai koi anjaan agar iss dhookay main ajaey to

Suni sunaee baat naheen yeh apnay ooper beeti hay
Phool nikaltay hain shooloon say,chahat aag lagaey to

Jhoot hay sab k tareekh hameesha apnay ko dohraati hay
ACHCHA! maira khwab e javani thorra sa dohraey to

Nadaani aur majboori main yaroo kuch to farq karo
Ik bay bas insaan karay kiya toot k dil aajaey to:blush:
**
waiting for ur comments!!!

Re: "Aaey To"

bilkol bakwas.. bohat hee girlish poem hay :(

Re: "Aaey To"

ji thanx
:)magar yeh likhi bhee aik larki nay hay aur larkiyaan aisay hee likhtii hain!!! waisay jalnay ki shadeed smell aa rahi hay:Dyeh aik larki dosri larki say jealious kiyun hoti hay????

Re: "Aaey To"

salam lala ji wasy lala aur kia kia aye tu jay tu khaey tu wasy lirkiyan ake dosrey say kun jilti heen attia batay gi zara jawab ayey tu wasy lala achi hey nazam Shafaq,dhanak,mahtaab,ghatain,taaray,naghmay,bijli ,phool
Us daaman main kiya kiya kuch hay,woh daaman haath main aaey to
lala ji wasy daman mey jo bhe kuch hey bataya tu pher bhe daman mangney ki kia zarorat the es lirki ko?

Re: “Aaey To”

Very Nice… :flower1:

Pukhtoon saRi na mai dasay Expectation na woo :smiley:

Re: “Aaey To”

Dairaa manana!!:blush:

Re: “Aaey To”

is ka agla misraa aap k sawal ka jawab hay ghazal ji !!
yaani un cheezoon k ilava bhee jo yahan bataee gaeen haiin us k daaman main buhat kuch hay iss liyay us daaman k haath main aanay ki khwahish ki ja rahi hay:)

Re: "Aaey To"

Very beautiful

This is one of my fav.
aaj hi parhi hay, sorry for late comments

Re: "Aaey To"

koi gal naeen yaar thanx alot