Few days back, a blog entry brought many memories back after listening to Noon Meem Rashid’s famous poem in the voice of Zia Mohiuddin.
So, couple of days back I recorded it in my voice too… then, ended up making a video out of it. This is my first attmept to create a video file although it only has one static image ![]()
Last bit is actually taken from the original file ![]()
Zindagi say dartay ho?
Zindagi to tum bhi ho,
zindagi to hum bhi hain
Zindagi say dartay ho…
Aadmi say dartay ho?
Aadmi to tum bhi ho,
Aadmi to hum bhi hain
Aadmi zabaaN bhi hay,
Aadmi bayaaN bhi hay,
us say tum nahi dartay…
Harf aur ma’ani kay rishta-haaye-aahan say Aadmi hai waabasta
Aadmi kay daaman say zindagi hai waabasta,
uss say tum nahi dartay…
Unkahi say dartay ho?
Jo abhi nahi aayi us ghaRi say dartay ho?
uss ghaRi ki aamad ki agahi say dartay ho?
Pahlay bhi to guzray haiN
daur naarasaai kay,
bay riya khudayi kay
Phir bhee ye samajhtay ho
Haich !!
arzumandi
ya shab-e-zabaaN bandi
hay raahay khuda wandi
Tum magar ye kiya jaano…
La’b agar nahi hiltay,
Haath jaag uThtay haiN
Haath jaag uthtay haiN
rah ka nishaaN bankar
Noor ki zabaaN bankar
Haath bol uThtay haiN
subh ki azaaN bankar
Roshni say dartay ho?
Roshni tau tum bhee ho,
Roshni tau hum bhi hain
Roshni say dartay ho…?
Shahar ki faseeloN par
daiw ka jo saaya thaa,
paak hogaya aakhir
Raat ka libaadah bhi
chaak hogayaa aakhir
Khaak hogayaa aakhir…
Azhdahaam-e-insaaN say fard ki nawa ayi
zaat ki sadaa ayi
Rah-e-shauq maiN jaisay
rah ro ka khooN lapkay
ik nayaa junooN lapkay
Aadmi chhalak uThay
Aadmi hassay dekho,
shehr phir basay dekho
Tum abhi say dartay ho?
HaaN abhi to tum bhee ho,
HaaN abhi to hum bhee haiN
Tum!!! abhi say dartay ho…