Aadmi Aadmi Ko kya dey ga ..

**aadmi aadmi ko kya dega
jo bhi dega vahi khuda dega
**
**mera qatil hi mera munsib hai
kya mere haq mein faisala dega
**
**zindagi ko qarib se dekho
isaka chehara tumhen rula dega
**
**hamase pucho dosti ka sila
dushmanon ka bhi dil hila dega
**
**ishq ka zahar pi liya “fakir”
ab masiha bhi kya dava de ga **

Re: Aadmi Aadmi Ko kya dey ga ..

Behn ek rung se likhne main kia muzaiqa tha?

Re: Aadmi Aadmi Ko kya dey ga ..

Mae abhi sab ek color ka ker dety hun :cb:

app ko pherney mae takleef huyi mazrat chahati hun :@: