Aadhoori batyain ...

Aadhoori batyain
Aadhoori batoon ki fiza main
Aadhoori baton ka maza
Chaley tu kabhi aab-e-hayaat jaisa, kabhi khaak jaisa
Kabhi khwabooN main azaab jaisa, kabhi azaab main sawaab jaisa
Kabhi barishooN main khiltey gulaab jaisa
Kabhi khwahishoon kay behtay saraab jaisa
Phir bhi larkiyaan aadhoori batyain kehti hi achi lagti hain
Aankh kholain tu lufz na kholain
Dil kholain tu khayaal na kholain
WaswasooN kay anjaan jazerooN main
Kabhi mil jayain tu dair tuk na kholain
Aadhoori batyain, bay-waja batyain, bay-khayaal batyain
Jo shuroo ho ker kabhi khatum na hoon
Aankh-micholi khalain, gum na hoon
Aik musulsul kayfiyut chaley, kum na hoon
Diyey taiz hawaa main bhi mudhum na hoon
Aadhoori batayain, bay-karaar batyain, bay-shumaar batyain
Hameesha bay-naam nahi hotein, gum-naam nahi hotein…

Re: Aadhoori batyain ...

beautiful....Wah

who is the poet and name of the book please

Re: Aadhoori batyain …

Khoobsorat alfaaz khoobsorat aur sachay perahay main :k:
Thanks a lot for shaing Vivacious…

:k:

^ Thanx :)

bhoot khoob :k:

:k:

very nice

adhooray pan ka maza he apna hai...

Apni takmeel kar raha hoon main
Warna mujah ko tu tum say piyar nahi...

Nice Viva:-)

khoob bohtu khoob:k::k:

**dilsay **bohtu khoob:k: