aadat nahi hai

Sir jhukaany ki aadat nahi hay,

Aansoo bahaany ki aadat nhi hi,

Hm kho gaye to pachtao gay bohat,

Hamaari Lout k Aany ki aadat nahi hay,

Terey dar pay Muhabbat k sawali ban jaaty,

Lekin Haath phelaany ki aadat nahi hay,

Teri yaaden aziz hen bohat,

Magar Waqt ganwaany ki aadat nahi hay,

Tum sakht Dil nikle kya gila kren hum,

Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,

Bad ’dua b kya kren HAQ men tumhaary?

Hamain to Dil b dukhaany ki aadat nahi hay..!
:snooty:

Re: aadat nahi hai

Shikwa -e-dil lab py laany ki aadat nahi hay,

to yeh full page kis ne bhara hai phir? :hmmm:

Re: aadat nahi hai

Bohat Umdah…Achi Aadat hy…:k:

Re: aadat nahi hai

ismey shikwa nahi hai :snooty: ye tou unko sirf inform ker rahay hain

Re: aadat nahi hai

shukriya :blush:

Re: aadat nahi hai

same thing. lab pe to laya na

Re: aadat nahi hai

:k:

aadat nahi hai

Larke Itna shikwa karne se chirte kyu hain? Kuch bura lagay Banda kahe bhi na ? :confused:

Re: aadat nahi hai

:no:

:hat:

:hehe: shikwa aur information impart kerne mai farq hota hai ?

aadat nahi hai

Mere ko mooh Mai aye Bol deti hoo kisi ko bura lagay tou lagay :snooty:

Re: aadat nahi hai

shikwa karna bura nahin lagta.. shikwa karne ke baad, ye kehna ke koi shikayat nahin ki, bura lagta hai

Agar Banda Kuch na kahe dil hi dil Mai baten jama karta jaye us se bhi rishto Mai farak parta hai is se acha hai Jo dil Mai ho keh dena chahiye

Re: aadat nahi hai

:eek: ab itna bhi nahi

:hehe:

Re: aadat nahi hai

agree with the first part

Re: aadat nahi hai

agree, per maan to le na ke maine bura mehsoos kia aur keh dia

Jahan aik doosre Ki feelings ka pata baton se hi chal jaye wahan man'ne Ki zarorar nahi parti.

Re: aadat nahi hai

lekin poet ne to shikayat bhi ki hai, aur meesna bun ke kone main beth ke maze le raha hai iss behas ka

App poet ko choren,
Aur koshish Karen 'kisi' ko shikayat ka mouka na den :p

Re: aadat nahi hai

ji meri to sab ke liye yehi koshish hoti hai.. lekin sab ko khush kar pana kisi ke bus main nahin hota

Re: aadat nahi hai

true v true