Kehne ko mera us se koii waasta nahi
Amjad mgr wo shaks mujhe bhoolta nahi
Darrta hoon ankh kholo`N tu manzaR badal na jaye
Mae jaag tu raha hoon mgr jaagta nahi
Aashuftagii se us ki usse bewafa na jaan
Aadat ki baat aur hai dil ka bura nahii
Tanha udaas chaand ko samjho na be-khabR
Hur baat sun raha hai mgr bolta nahi
Khamosh rut-jagoN ka dhuwaaN tha char-suu
Nikla kub aaftaab mujh ko pata nahi
Amjad wo aankhein jheel se gehrii tu hien mgr
Un mien koii bhee aks mere naam ka nahi
~Amjad Islam Amjad~