**Uske Bin Chup-Chup Rehna Aacha Lagta Hai
Khamoshi Se Ek Dard Ko Sehna Aacha Lagta Hai
Jis Hasti Ki Yaad Mein Aansun Baraste Hai
Samne Uske Kuch Na Kehna Aacha Lagta Hai
Jee Chahe Apni Sari Khushiyan Laakar Usko De Du
Uske Pyaar Mein Sab Kuch Khona Aacha Lagta Hai
Uska Milna Na Milna Kismat Ki Baat Hai
Pal Pal Uski Yaad Mein Rona Aacha Lagta Hai
Uske Bina Sari Khushiyan Ajeeb Lagti Hai
Ro Ro Kar Uski Yaad Mein Sona Aacha Lagta Hai
Humse Mohbbaton Ki Numayaishe Na Ho Saki
Usko Chahte Rehna Aacha Lagta Hai.
**
Re: Aacha Lagta Hai
**
Humse Mohbbaton Ki Numayaishe Na Ho Saki
Usko Chahte Rehna Aacha Lagta Hai.
**
Asal sher ka maza he kuch aur hay
Hum Se Mohabbat Ki Numaish Na Ho Saki
Bus Itna Jante Hein Kay Tujhe Chahte Hein Hum
jumpyb
June 4, 2014, 11:02am
3
Re: Aacha Lagta Hai
aacha.. yani mere wala naqli ha kyaa???
Re: Aacha Lagta Hai
naheen ho sakta hay yah iss she’r key zameen main likha gia ho … buhat say mashoor shaeroon ka aik misra lay kar dosra misra khud bhi bana saktay hain …
Nain
June 4, 2014, 11:07am
5
Re: Aacha Lagta Hai
achey ki baat nahi haI alfaaz khud nahi nikaltey
jumpyb
June 4, 2014, 11:24am
6
Re: Aacha Lagta Hai
lol.. ye baat be theek ha.. per ab kya kare attraction he itna ha…
jumpyb
June 4, 2014, 11:45am
8
Re: Aacha Lagta Hai
ufhhhhhh
ha yar wakaye.. UFFFFFFFFFFFFF, jitna uff nikle kam ha…