Re: aabla_pa's Top Three
this..one..by..QateelShifai..if..i..am..not..wrong.
bohat..Khoob!
Meri Zindagi to firaaq hai,wo azal se dil main makee'n sahee
Wo nigaah_e_shauq se door hain,rag_e_jaa'n se laakh qaree'n sahee
Hamein jaan deni hai aik din,wo kisi tarah wo kahin sahee
Hamien aap khainchiye daar par,jo nahi koi tu hamee'n sahee
Sar_e_toor ho sar_e_hashr ho,hamein intezaar qabool hai
Wo kabhi milein,wo kahin milein,wo kabhi sahee,wo kahin sahee
Na ho un pe jo mera bass nahi,ke ye aashqi hai hawas nahi
Main unhi ka tha,main unhi ka hoon,wo mere nahi,tu nahi sahee
Mujhe bhaithne ki jaga milay,meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman mein agar nahi,teri anjuman ke qaree'n sahee
jo ho faisala wo sunaaiye usay hashr pe na uthaiye
jo karain gay app sitam wahan woh abhi sahyee wo yehin sahyeee
Usse dekhne ki jo low lagi tu Qateel dekh hi lain gey hum
Wo hazaar aankh se door ho,wo hazaar pardah nashee'n sahee