Aab hai Khushi Khushi mein na Gum hai malaal mein

duniya se kho gaya huun tumhare Khayal mein

mujh ko na apana hosh na duniya ka hosh hai
mast hoke baithaa huun tumhaare Khayaal mein

taaron se puuch lo meri rudaad e zindagii
raaton ko jaagata huun tumhaare Khayaal mein

**duniya ko ilm kya hai zamaane ko kya Khabar
duniya bhula chuka huun tumhare Khayaal mein **

duniyaa kharee hai muntazir e naGmaa e alam
‘Behzad’ chup khare hain kisi ke Khayaal mein

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Gum hai malaal mein

Ehsan bhai bohat achi ghazal hey. :k: Impressive selection :slight_smile:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Gum hai malaal mein

nice :k:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Gum hai malaal mein

taaron se puuch lo meri rudaad e zindagii
raaton ko jaagata huun tumhaare Khayaal mein

**duniya ko ilm kya hai zamaane ko kya Khabar
duniya bhula chuka huun tumhare Khayaal mein **

nice selection ehsan g :blush: