Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

kisi kee nazar:

Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein
duniya sey kho gaya huun tumhaare Khayaal mein

mujh ko na apna hosh na duniyaa kaa hosh hai
mast hoke baitha huun tumhaare Khayaal mein

taaron se puuchh lo meri rudaad-e-zindagi
raaton ko jaagata huun tumhaare Khayaal mein

**duniyaa koh ilm kyaa hai zamaane koh kya Khabar
duniyaa bhula chuka huun tumhaare Khayaal mein

duniyaa kharee hai muntazir-e-nagmaa-e-alam
‘Behzad’ chup kharey hain kisi kay Khayaal mein**

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

Behzad Lakhnavi?

achi ghazal hai.

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

nice sharing :)

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

Hayeeeee, how old is this Behzaad :blush:

achi hai achi hai :chai:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

^ Meri tarah over 50 hai. :rotfl:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

yes it is Behzad Lakhnavi.

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

dil kay armaaN aansoun may beh gaye :grumpy:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

:smiley:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

koi nahi dil ka muamla hai chalay gha :smiley:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

Aye jazba-e-dil, gar maiN chaahooN har cheez muqaabil aa jaaye
manzil kaY liye dau gaam chaalooN, aur saamnaY manzil aa jaaye

Nayarra Noor's famous song which was first used in a 1960's pakistani movie as the opening of a qawwali.. I think the poet was Behzad Lakhnavi, if I remember correctly... great poet.

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

:rolleyes:

ehsan ji bus theek hai koi khas nahi :snooty:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

aisaY naheeN kehtaY.

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

to phir kasay kahtay hain :rolleyes:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

dekho naa zaroori tau naheeN kaY aap ko achi naa laggaY tau doosraY ko bhee naa laggay..

poetry is something which everone relates to his/her observation/experience in life. Behzad must have written it after going through some thing in life either as an observer or part of the incident… appreciate the thoughts… Sometimes, you like things which other do not like as well..

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

amiiii :teary3:
mujhay ini ziyda ahci nahi lagi to mai kya karo:crying:

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

think about the thought process of the poet in atleast this sher:

taaron se puuchh lo meri rudaad-e-zindagi
raaton ko jaagata huun tumhaare Khayaal mein

see if you like it:)?

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

Wah wah. :)

Re: Aab hai Khushi Khushi mein na Ghum hai malaal mein

kia hai :snooty:

buhut khub :k: