Aaaj aisa kartay hain...

guftugu kay lamhon main
dekh hi nahi paatay
hum tumharay chehray ko
tumhari aankhon ko
aaj aisa kartay hain
chashm-o-lab ko parhtay hain
baat chorr detay hain
janay kaisa lamha ho
jab yeh haath hathon sey
gar kabhi juda hoga
aaj aisa kartay hain
zabt-e-jaan parakhtay hain
haath chor detay hain
kaash koi samjha day
log kis tarha dil ki
manzilain alag karkay
saath chorr detay hain
aaj aisa kartay hain
baysabab bikhartay hain
zaat torr detay hain…!

Re: Aaaj aisa kartay hain…

Nice poem Dania_2000 :k:…Thanx for sharing it with us :slight_smile:

Re: Aaaj aisa kartay hain...

nice one dani :)

Re: Aaaj aisa kartay hain...

gud one!

Re: Aaaj aisa kartay hain…

Bohat khoob Dania…:k:

Re: Aaaj aisa kartay hain…

Buhut khub :k:

Re: Aaaj aisa kartay hain...

nice 1:)