Aaa Bee Maindki

Aa bee maindki ..betho paas humaray :hehe:

kisi nay yeh poem suni ya parhee hai ya kisi ko yaad hai???:smiley:

Re: Aaa Bee Maindki

Aao Bee maiNdkee
beTho gaud hamaari
khaao doodh maleedah
chaabo paan supaari

it was a part of a story ammi used to tell everynight sigh

Re: Aaa Bee Maindki

nahin sunao sunao.. I thought you were calling Attia :blush:

Re: Aaa Bee Maindki

mujhay bhi yeh story sunao na, main apnay baitay ko sunaoon gi :)

Re: Aaa Bee Maindki


unfortunately, mujhay uss maiN saY sirf poem hee yaad reh gaYee hai.. I remember the theme was about greediness though.

Re: Aaa Bee Maindki

meri ammi to yeh wali nahee sunati thee..... ohh I C yeh meri paidaish say phelay kay zamanay ki LORI hay...

Re: Aaa Bee Maindki

thanks…

hehe..ab main apni bhateeji ko sunaoo gee..woh maindki ki tarha lagtee hai :hehe:

Re: Aaa Bee Maindki

may tumhari bhabhi ko bataoooo :eek: apni beti ka yeh khatab sun kar tumharah sar phar dain gi woh :stuck_out_tongue:

Re: Aaa Bee Maindki

bhabhi kya..bhai bhi usko maindki kahtay hain :cb:

Re: Aaa Bee Maindki

i luv to see her pic... post karo na plz....

Re: Aaa Bee Maindki

abhi hai nahi...jab hogee tou kardoon gee..waisay usskay aur bhi bohat sey naam hain ;)

Re: Aaa Bee Maindki

i hope doosray name kisi janwar say miltay jultay nahee hon gay… yeh app ka lad karany ka tareeqa bara wakhra lagta hay :rolleyes:

Re: Aaa Bee Maindki

lol…nahi janwar sey nahi miltay..usay hum tiddi pahalwan bhi kahtay hain :cb:

Re: Aaa Bee Maindki

yeh kangri pahalwan to suna tha yeh tidi pahalwan kia cheez hay :rolleyes:

Re: Aaa Bee Maindki

ok i thought someon is calling me :snooty:

Re: Aaa Bee Maindki

:yukh:

maindak god main .:eek:.yeh koi acha idea naheen hay

Re: Aaa Bee Maindki

haha thora sa ishara tunhare taraf bhi tha :smiley:

Re: Aaa Bee Maindki

^Thorra sa ya sara ka sara :D

Re: Aaa Bee Maindki

cool avatar :k:

aadha ishara tha..sara ka sara nahi kia.:smiley: