Chaand madham hai aasman chup hai
neend ki gaud main, jahan chup hai
door vaadi main dhund ke badal
jhuk ker parbat ko piyar kertay hain
dil main nakaam has-ratain lekar
hum tera intezar kertay hain
in baharon ke saaye main aja
mohabat phir jawan rahay na rahay
zindagi tere na-muraadon per
kal tak meherban rahay na rahay
kal ki tarhan aaj bhi taaray
subah ki gard main na kho jaayen
Aa teray ghum main jaagti aankhain,
kam se kam ek raat so jaayen1
Dekh Ruswaee ka sauda hai ab na kabhi
Itnni shiddat say kisi shaks ki chaahat karna,
raahaygi shama-e-wafa yunhi ta abaad roshan
ghazal kay roop main jeenay ka hosaala rakhna!