[[[ Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

**Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai
taqat-e-bedaad-e-intezar nahin hai

dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nasha ba’andaza-e-khumaar nahin hai

giriya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haaye! ke rone pe ikhtiyaar nahin hai

hum se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
khaak mein ushaq ki gubaar nahin hai

dil se uthaa lutf-e-jalwa haaye ma’ani
gair-e-gul aa’inaa-e-bahaar nahin hai

qatl ka mere kiya hai ahad to bare
vaaye! agar ahad ustavaar nahin hai

tu ne qasam mai’kashi ki khai hai ‘Ghalib’
teri qasam ka kuch aitbaar nahin hai

(((( Mirza Asadullah Khan Ghalib ))))**

Meaning of difficult words:

bedaad = injustice
dahar = world
ba’andaza = according to
giriyaa = to cry
abas = indifferent
ushaq = lovers
gair-e-gul = other than blossoms
ahad = promise
**baare **= at last
ustavaar = firm/determined
**mai’kashi **= boozing/drunk

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

Mushkil hai :(

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

^namumkin nahi :(

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

chalain phir mujhay is ke tashreeh PM ker dain :)

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

nice :k:

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

phir? abhi pm to kar diya hai, phir nahi kar sakta :snooty:

thanx sunny :slight_smile:

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

bohat umdaa sharing hai Ali

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

thank you Sonia jee :blush:

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

its ok Ali:bb:

Re: Aa ke meri jaan mein qaraar nahin hai ]]]]

thanx :rose: