Aa Kay Wabusta Hain Uss Husn Key Yadain Tujh Say
Jis Nay Iss Dil Ko Pari Khana Buna Rakha Tha
Jis Key Ulfat Main Bhula Rakhe Thee Dunya Hum Nay
Daher Ko Daher Ka Afsana Buna Rakha Tha
Ashna Hain Tairay Qadmoon Say Woh Rahain Jin Pur
Uss Key Madhoosh Jawani Nay Inayat Key Hai
Karwaan Guzray Hain Jin Say Ussi Rawnai Kay
Jis Key In Ankhoon Nay Bay Sood Ebadat Key Hai
Tujh Say Khaili Hain Woh Mahboob Hawain Jin Main
Uss Kay malboos Key Afsurda Mahuk Baqi Hai
Tujh Pay Bhee Bursga Uss Bam Say Mehtab Ka Noor
Jis Main Beeti Howi Ratoon Key Kasak Baqi Hai
Too Nay Daikhee Hai Woh Payshani, Woh Rukhsar, Woh Hunt
Zindagee Jin Kay Tasawar Main Luta Dee Hum Nay
Tujh Pay Uthi Hain Woh Khoi Howi Sahir Ankhain
Tujh Koo Maloom Hai Kyun Umer Gunwa Dee Hum Nay
Meiji