----Aa kash----

Aai kaash un kai saath hotay hum
Khushiaan hotien hamaray paas naa hota koi gham

Aap ki yaadein aati rehtein hain subha shaam
Isi liye to rehtein hain meri aankhein nam

Mujhay hai aitibaar sirf aap ki mohabbat par
Kai aap naa dain gay mujhay koi zakham

Aaj mainay tanhai mein yeh jaan liya
Aap kai bin mairy khushiaan hogayein hain kam

Saari duniya dushman see lagti hai mujh ko
Kai aap kai siwaa nahi maira koi sanam

Karliya hai mainay yeh aakhree faisla
Aap naa milay to toad dain gay dum

Aap ki yaad mein jeetay rehtay hain
Mairay dil pai girtee rehti hai yaadoan ki shabnam

Dua hai yehi mairee khuda se
Aap hi banay mairay pehlay aur aakhree humdam

Maana kai aap naa hoangay sadaa hamaray magar
Waadah hai hamara kai hum hoan gay aap kai qadam ba qadam

janu ji gr8 one