Ay maut unhain bhulaaye zamaane guzar gaye
Aa jaa ke zehar khaaye zamaane guzar gaye…
Oh jaane wale aa jaa ke tere intezaar mein
Raastay ko ghar banaaye zamaane guzar gaye
Gham hai na ab khushi hai na umeed hai na yaas
Sab se nijaat paaye zamaane guzar gaye
Kya lay’yaqq-e-sitam bhi nahee ab mein dostoon
Patthar bhi ghar mein aaye zamaane guzar gaye
Jaan-e-bahaar phool nahee aadmi hoon mein
Aa jaa ke muskuraaye zamaane guzar gaye