~~~~~Aa gaya yuun mere honton pe Tera naam k bass~~~~~

Aa gaya yuun mere honton pe Tera naam k bass,
Woh charagan kiya aankhon ne sar-e-sham k bass!

Yaad kyaa jaaniye, woh kaun si baat aayi hai?
Dil ne phir aaj uthaaya hai woh kohraam k bass!

Ik damakta hua taara, sar-e-micsgaan aaya !
Uss ne aankhon se diya tha woh paigaam k bass!

Hum bhi sunte hein k naazaan hai bahut husn pe chand!
Ik nazar dekh to le Tujh ko lab-e-baam k bass!

Saans lena bhi Safi! baa-is-e aazaar hua!!
Wo lage Dil pe Tere hijr mein ilzaam k bass!

Re: ~~~~~Aa gaya yuun mere honton pe Tera naam k bass~~~~~

Nice :-)