**
tum to kehtay thay waqat ka guzarnay ka sath sath
hum dono sub kuch bohl jayein ga
per Aa Dost!
yahaan to waqat kuch tehra hoaa lagta hai…
tum to kehtay thay ka her lambee kali raat kay baad
soraj nikalta hai
naee umeed ke kirnon kay sath
per Aa Dost!
Apne Qismat dekh kar to
Andehron ka basera lagta hai…
tum tu kehtay thay ka tumhein muskelon
ka samna karna acha lagta hai…
tohkarein kah kar samhalna acha lagta hai…
nayay chehrayo sa milna acha lagta hai…
nayay sathe ka sath chalna acha lagta hai…
Per Aa dost!
Aaj tumhare dam-dorte hoee guftago,
chehray ke tahkawat,
Tapta hoaa chehra,
Tahkay hoay Qadam
dekh kar to mujhe kuch aur he pata lagta hai…
Really impressive as every word has its own beauty :k::k::k:
Im glad to see you with this effort …
Keep it up Ghazal and all the best for future … Be happy !